Zahir Ki Aankh Say Na Tamasha Karay Koi
Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil Waa Karay Koi
Arr Baithay Kya Samajh Kay Bhala Tuur Par Kaleem
Taaqat Ho Deed Ki Toh Taqaza Karay Koi
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala Hai
Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala Hai
Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar
Sukoon-e-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar
Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main
Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka'abay Kay Aanchal Main
Gunaaahon Ki Lipat Say Ka'ainat-e-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda
Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki
Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi Ki
Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say
Saraapa Faqr Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say
Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab Zabun Hali
Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali
Yeh Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula
Saraapa Noor Hai Aik Mohbat-e-Anwaar Hai Maula
Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say Khaali Hoon
Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon
Zuban Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par
Khudaya Rehem Meri Is Zamanay Bay Zubani Par
Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin Aata
Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai
Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Multazim par dua...by junaid jamshed
to download Multazim par Dua, click here
No comments:
Post a Comment